Tuesday, 25 September 2012

IMITHAN

Vo rat badi mushkil se gujari jis rat entjar tha

Jalim vakt to dekho subh tos ka mera imithan tha


Aankho me ghum rha tera chera sutr ban

Bhul gya suspensun bridge dil bhi kitna nadan tha


Cantilever circle ban gyi arche ki tarah

Copy ka pen ke sath ghamasan tha


Nind unsymettric bending ban gyi

Bebas si neutral kitabe pen huya bejuban tha


Dekhe hi pepar tention compretion sab dhuaa huya

Sab jagah l hi diya huya man tha


Najar edhar udhar dodane ka koi fhayada nhi

Border pe lad rha har ek ek jawan tha


shear center ho bhul gya sab

Yad roll nu or bas name tha


Pyar ke chkro me kash na pdta to

Rolling load roll na hota kah rha pran pran tha


Uthai kalam vo beam si danadan bhri copy

Mara vo har tuka jo meri tarkash me kaman tha









Bikhre sapne

Bdi chahat hai dil ki dekhu unhe

Najaro se aaj vo jo dur huye hai


Aag lagi hai tan man me

Ghar barf ke pighlane suru jo huye hai


Laga hai sara sahar dubne

Sagar aankho ne bha jo diye hai


Chand bhi hai kitna tanha sa sannu

Jab se duaao ke liye tare tutne suru huye hai


Deta rha talim udne ki unko

Aaj kud hi janjiro me jakde huye hai


Aakhir jan hi gya matlab pyar ka

Tukde hajaro dil ke bikhre jo huye hai

YAD

Aayi yad teri mujh ko

Aankho se aanshu chalke

Rhi vo yad dil me teri

bhigone lagi halke halke.


Aaya tufan samundar ki lahro me khi

Lagi sahil ki buniyad hilne

Bhig gyi vo tasvir teri

Jo chupa rakhi thi kab se dil me.


Tut gye vo sapne apne

Jo dekhe hmne milke

Ud gye ban parinde vo

Mehman the jo kuch pal ke.


Chand kyu hai tanha

Badlo ki jmi pe chalke

Udne laga dhuaa khi

Hui khak dil ki bashti jal ke.




cycle

Cycle chalau ya pedal hi jauu

Hai mahanga petrol kha se tanki bharvauu.


Apradh bdha hai bharstachar bdha hai

Dino din mahgai ka graph uper chda hai

Garib ko na mila ek dana bhi khane ko

Ha anaj godamo me jrur sada hai

Dhup me har bar nange per bhagta jauu

Cycle chalau ya pedal hi jauu

Haye re meri gatha kise sunauu.


Mahgai etni aata chaval dal chahe vo gas ho

Hum beth gye gunge ban neta kha rahe desh ko

are jago nind se kbhi to mere dosto

Achai ka kbhi to subh ganesh ho

Es mahgai me bcho ko kha se khana khilauu

Cycle chalau ya pedal hi jauu

Sochta hu apna pet bech aauu.


Hai halat ab bin pani dariya jesi

Bik gya eman sbhi ka na bchi himmat sawdesi

Koi btaye kha bikta hai ye eman 

Haye re mere desh ki phuti kismat kesi

En halato se desh ko kese bchauu

Cycle chalau ya pedal hi jauu

Jeevan ki noka kese par lgauu.


Nara de sarkar pani bchao bojli bchao 

Sabko pdahao ghar ghar me alakh jgao

 kha jati dharti ke ratan ped sare

Phir hame khti aao ped lgao

Pine ko bhi nhi aata pani kha se bchauu

Cycle chalau ya pedal hi jauu

Kuch tu hi bta khuda ab kha jauu.






Friday, 21 September 2012

path

 Kro to kuch aesa kro

Nam ho mukh vanni jan jan pe

Vijay sahnai gunj uthe

Rahe nishan pre kadam jha kan kan pe.


Vipath na ho tu path se

Jeevan ke kisi bhi rann rann me

Jitne ki aadat bna le

Aasma pani or thal thal me.


Samay ki suyiya chalti nhi

Bhagti hai pal pal me

Karna hai vo abhi kar

Dal na ese kal kal pe.

Tuesday, 18 September 2012

Isqe

Kab tujse kuch manga hamne 

Bas karta ek pyar hi to tha.


Bcha kha jinda tere sahar se jane par

Ab to ek pathar ki deewar hi to tha.


Vaqet ne ki najakat hum bhul kar bethe

Huye khamosh kesha didar ye to tha.


Husn ke sagar se gagar kuch pal hi bhrta hai sannu

Aksar samjhaya karta Narwar bhi to tha


Isqe ke jor me kha mana main

chda huya pyar ka khumar bhi to tha.

Aankhe

Teri aankho main na koi sagar tha

Na jane phir bhi kyu hum khud ko duba bethe.


Na tha noor koi chehre pe tere

Na jane phir bhi kyu hum najar tika bethe.


Talim diya karte the dusro ko udano ki

Na jane phir bhi kyu aaj khud ko gira bethe.


Na chamak thi teri suraj si

Na jane phir bhi kyu hum khud ko jla bethe.


Janta hu aokat nhi kagaj ki tufano main

Na jane phir bhi kyu hum kagaj ka ghar bna bethe.


Thi khabar ki dard hota hai chuban ka

Na jane phir bhi kyu tan kanto se chuya bethe.


Na chahat thi tujhe yad karne ki koi

Na jane phir bhi kyu teri lbjo ko bhri mahphil main ga bethe.


Bhut banjar tha meri plko ka badal

Na jane phir bhi kyu kha se aanshu bha bethe.


Apna na koi yha sannu

Na jane phir bhi kyu en pthro ko hum khani suna bethe.


Friday, 10 August 2012

BADAL

Etna kamjor chand nhi main, ki badal mujhe dhak le

Tu ykin rakhna, main badal phad ke bhi vapis aaunga.

Sarhad

Har dil main hai hasrat ek, teri bhi or meri bhi

Lagti hai kadvi kisi ho, dhang se chkhe to jindgi sahad hoti hai.


Ek jamana tha jha, hasi ki koi had na thi

Ye dekh lo nya jamana, jha pyar main bhi sart hoti hai.


Kyo nat hai aankhe teri aaj, suraj to vhi hai

Bikhre hai tukro main, har bat pe jdojhad hoti hai.\


Sab ka khun ek jesa, phir bhi ye jat kha se aayi

Bhai ki aankhe bhi ajkal, dhurt hoti hai.


Kha alag hai hum tumse, kyu etra rahe ho

Suraj ke bhi tukre kar le, chand tarro ki ek hi chat hoti hai.


Tera sawan  to mere aaye sawan tu insan or main bhi insan

Koi samjhe to batana, kyu ye sarhad hoti hai.

KABIR

Kya fark pdta hai,  ki rang gora hai ya kala

Jine ko junun se bhra ek,  hona insani sarir chahiye.


Lakshay dikhayi na de yha se, tuka mar chahe


Par nishane pe lge tab, hona tir chahiye.


Manjil ka kya hai, dhundhne se jrur mil jayegi

Honsle se bhra , hona dhir chahiye.


Pyar tere jivan ke rah ki, presani nhi sannu

Moh maya se khi dur rahne wala, man tera hona fakir chahiye.


Amiri, garibi, kisi dharam ka hona kuch nahi

schahi se bhra huya, hona jmir chahiye.


Mandir jata hai ya nhi tan mella hai kuch bhi to nhi

jruri to ye hai, ki banda man ka hona pakir chahiye.


Ganda jha nhi hum ho gye hai, jo rang dekh nhi rhe

Aankho main gam ka nhi, khushi ka hona neer chahiye.


Rat main sapno main khokar,  udan bahrne se kuch nhi hoga

Khuli aankho se hi hkikat se, hona mukhbeer chahiye.


Udne ko par nhi, honslo main jan jruri hai

Na ki hatho main bna kismat ka, hona lakeer chahiye.


Har jeet to ek, samay ki chal hai

Jarur jitega tu bhi, nakamyabi ka na hona pir chahiye.


satranj ki bishat par,  payade bhi mat diya karte hai

Kha kisne ki jitne ke liye, hona vjeer chahiye.


Bina halla kiye bhi,  bhagvan mil sakte hai

Bas banda man ka,  hona sant MEERA, KABIR chahiye.





Thursday, 9 August 2012

Yad Ghar Ki

Udte hawa main pakshi hjar

Betha badal rakh ki chadar pahne

Bhar rang bhut se nanhi si aankho main

Palko ki chav main ghar ki yad sjoyi hai mene.


Giri pyari si os ki bunde

Patiyo ka lagi dhire dhire tan bhigone

Chup badal ki aad main khi

Suraj aate hi chand chla gya muh dhone.

Lga chandan ka tika suraj vo 

Najar bhi kha dali hai mene.


Aati rah rah kar ghar ki yad

Khil jata rom rom dil ke har kone

Na nind hoti en aakhiyo main

Thak har kar suraj hi chla jata hai sone

Bas jee rha hu jindgi yha

Jhuta muskare ki aadat bna rakhi hai mene.


Ja na hawa, tu jati kyu nahi, maa se kahna 

Abhi nahi aaunga bhut kam hai, bhut hisab hai dene

Khub char bar khata hu khana, mota ho gya hu pahle se

mje etne hai maa ki ab kya kahane

Bas bta etna na dena ki

kitni foothpath par rate bitayi hai mene.


Maa ka vo aanchal Papa ka vo dular

Neh udelati vo pyari bahne

Hai ruh ban jmi dil main vo

Dor jo tune bandhi thi rene

Ghar aane ki Duaaye bhut mangi 

Har tute tare dekh dekh mene.

Bachpan

Mitti ka vo kacha ghronda, bana kagaj ki kshti terata pani main

Aaj phir kahi bikre balo main,  bachpan main kash! lot pauu.


Pero ki daliyo par vo athkheliya karna, vo lahrate huye beg

Dil chahe chor college, aaj phir se school jauu.


Dur bahut hu gurbat main, tanha sa sannu

Jaye ghar ko jo mere , rashta vo yha se banauu.


Pap ki vo duniya na thi, na koi fikarana

Gav ki us ndi main dubki lga lga , phir se nhauu.


Lad lad kar bhi hans ke milna, bachpan ki vo jindgani

Tod pathar se bag main, peth bhar vo aam khauu.


Jan hi na paya main to, samay ka vo pentra

Teri yado main rone se acha , tujhe bhul jauu.


Mella man or mella tan , kyu ho gya hai aaj

Bhulu sare gam, maa teri god main sar rakh so jauu.


Ghut ghut kar kab tak jiyu, es uljhan bhri duniya main

De Khuda do par mujhe, jo thoda sa yha se ud jauu.


Wednesday, 8 August 2012

Kavi or Sayar

Koi khe chand tumhe

Koi gulab btata hai

Kavi kare kalpana 

Sayar khawab sjata hai.


Bethe koi tumhari chav main

Koi aankho se mye pee jata hai

Kahi hawa ka jhonka aata hai

To kahi chu kar chala jata hai.


Bahaar hai tu kisi ki

Koi barish main patang udata hai

Likhata hai koi lfjo ko teri 

Koi enhi lfjo ko gata hai.


Hai jage rat bhar koi 

To koi kantho pe rat bitata hai

Badlati hai kisi ki kismat 

Koi nasib likha ke lata hai.


Na hoti khabar kisi ko 

Na koi jan pata hai

Khi bchi hai thodi umid abhi 

Koi panno main kho jata hai.


Manaye dil ko koi apne 

To koi samjata hai

Kisi ki ho jmi tum

Koi khud main tumhe pata hai.


Khile koi khichad main

Kisi ka kantho se name ho jata hai

Khusbhu bhi badnam kisi ki 

Koi badbu se bhi sareaam ho jata hai.


Koi bane noor tera

Koi teri duya ke liye tut jata hai

Badsurat hai koi yha 

Khubsurti chipane koi nakab odh kar aata hai.

Monday, 6 August 2012

Minar

Kar roshan aankho ke diyye

Palko pe sapne hjar le

Ho jivan ki noka main  swar

Chla tha ghar se jindgi swarne.



Na thi vo bachpan ki galiya

Tapte es dyar main

Paseej rhi thi sanshe yu

Khda tha main bhi engineer ki ktar main.



Kho bethe darg sukun ye apna

Ahad -e-didar main

Fhut aayi kali koi sannu

Dil -e-guljar main.



Har rhi thi  aakhiya

Dil dimag ki takrar main

Bech aaya hu dil apna

Chand dinar main.



Thi dil ki bisshat suni padi

Husn-e-darbar main

Bik gya anmol heera

Koriyo ke dam bajar main.



Hub hub kar ro rhi aakhiya

Dil tha gunahagar ye

Kar diya badan tar

Palko se giri halki halki fuhar ne.



Kori tapat hi bachi aaj

Sawan ke girte bahar main

Tor gyi mera kcha ghronda

jake unchi minar main..

Saturday, 28 July 2012

Nhi janta

Main nhi janta

Ye meri nafrat hai ya neh

Dharkan dhrkati h sanse tarpati hai

 Ek tasvir tumhari hai dil me.


Rahti har pal yad tum

 Dekha tumhe jab se

Pyar alag hai diwangi alag hai 

Na jane mai to pagal hu kabse.


Etne dur magar dil pas the

 Neh tha jmi ko nabh se

Ek isqe hai ye etihas ka

Mile hum bhi kbhi yhi duaa hai rabb se.


Vo aanchal me badal hu


 Vo anjan hai hamse hum anjan hai unse

 Barse kbhi us jmin par

 Yhi sada aati hai lab se.


Isqe hota na agar hme

 To mar gye hote kab ke

Un taro ke tarah

 Khde hote chmkate fahalk pe.