Thursday, 9 August 2012

Yad Ghar Ki

Udte hawa main pakshi hjar

Betha badal rakh ki chadar pahne

Bhar rang bhut se nanhi si aankho main

Palko ki chav main ghar ki yad sjoyi hai mene.


Giri pyari si os ki bunde

Patiyo ka lagi dhire dhire tan bhigone

Chup badal ki aad main khi

Suraj aate hi chand chla gya muh dhone.

Lga chandan ka tika suraj vo 

Najar bhi kha dali hai mene.


Aati rah rah kar ghar ki yad

Khil jata rom rom dil ke har kone

Na nind hoti en aakhiyo main

Thak har kar suraj hi chla jata hai sone

Bas jee rha hu jindgi yha

Jhuta muskare ki aadat bna rakhi hai mene.


Ja na hawa, tu jati kyu nahi, maa se kahna 

Abhi nahi aaunga bhut kam hai, bhut hisab hai dene

Khub char bar khata hu khana, mota ho gya hu pahle se

mje etne hai maa ki ab kya kahane

Bas bta etna na dena ki

kitni foothpath par rate bitayi hai mene.


Maa ka vo aanchal Papa ka vo dular

Neh udelati vo pyari bahne

Hai ruh ban jmi dil main vo

Dor jo tune bandhi thi rene

Ghar aane ki Duaaye bhut mangi 

Har tute tare dekh dekh mene.

No comments:

Post a Comment