Tuesday, 18 September 2012

Aankhe

Teri aankho main na koi sagar tha

Na jane phir bhi kyu hum khud ko duba bethe.


Na tha noor koi chehre pe tere

Na jane phir bhi kyu hum najar tika bethe.


Talim diya karte the dusro ko udano ki

Na jane phir bhi kyu aaj khud ko gira bethe.


Na chamak thi teri suraj si

Na jane phir bhi kyu hum khud ko jla bethe.


Janta hu aokat nhi kagaj ki tufano main

Na jane phir bhi kyu hum kagaj ka ghar bna bethe.


Thi khabar ki dard hota hai chuban ka

Na jane phir bhi kyu tan kanto se chuya bethe.


Na chahat thi tujhe yad karne ki koi

Na jane phir bhi kyu teri lbjo ko bhri mahphil main ga bethe.


Bhut banjar tha meri plko ka badal

Na jane phir bhi kyu kha se aanshu bha bethe.


Apna na koi yha sannu

Na jane phir bhi kyu en pthro ko hum khani suna bethe.


No comments:

Post a Comment