Monday, 6 August 2012

Minar

Kar roshan aankho ke diyye

Palko pe sapne hjar le

Ho jivan ki noka main  swar

Chla tha ghar se jindgi swarne.



Na thi vo bachpan ki galiya

Tapte es dyar main

Paseej rhi thi sanshe yu

Khda tha main bhi engineer ki ktar main.



Kho bethe darg sukun ye apna

Ahad -e-didar main

Fhut aayi kali koi sannu

Dil -e-guljar main.



Har rhi thi  aakhiya

Dil dimag ki takrar main

Bech aaya hu dil apna

Chand dinar main.



Thi dil ki bisshat suni padi

Husn-e-darbar main

Bik gya anmol heera

Koriyo ke dam bajar main.



Hub hub kar ro rhi aakhiya

Dil tha gunahagar ye

Kar diya badan tar

Palko se giri halki halki fuhar ne.



Kori tapat hi bachi aaj

Sawan ke girte bahar main

Tor gyi mera kcha ghronda

jake unchi minar main..

No comments:

Post a Comment